Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2010

Jaayen to jaayen kahaan???????

jaayen to jaayen kahaan? Bahaaron mein patjhad ke saaye hain, Nazaaron pe andhere se chhaaye hain, Foolon ke daaman mein kaante hain, Baagon mein faile sannate hain, Koyal ki kook anjaani hai, Hansi ki aankhon mein paani hai, Khushnuma jhokon mein mehek nahi, Aasman mein panchhiyon ki chehek nahi, Khayalon ki koi zanjaarein nahi, Khwaabon si koi taqdeerein nahi, Dil ki dhadkanon mein sirf aahein hain, Galat manzilo pe jaati hui raahein hain, Naakhuda bina ek kashti hai, Khaaq me mili ek hasti hai, Naakamyaab si kai koshishein hain, Bholepan mein chhupi saazishein hain, Hum is chhal bhari duniya mein, Jaayen to jaayen kahaan???????

Apni hi kahani suna raha tha woh !!!

Kisi ajnabi ko mera likha suna raha tha woh Bikhre hue khawabon ke Purzey udha raha tha woh Umr bhar pista raha who rishtoon ki chaki mein Baaqi rahe rishtoon se daaman churra raha tha woh Apni zidd to woh puri na kar saka Ruthey huway bachoon ko mana raha tha woh Sehra me khile phool ko bachane ke liye Apne ashkoon se uski pyaas mita raha tha woh Uski yaadoon ko kuch is tarah bhula raha tha Apne haathoon apna likha mita raha tha woh Sirf kirdaar hi to badle they usne Apni hi kahani suna raha tha woh !! !